Wednesday, October 8, 2008

Impromptu Shayar 2

Another one ...
Abhi kal hi ki to baat lagti hai
jab main aur tum, tum aur main
baithe rehte they sard raaton main
apne apne computers par kare camp
haath main hoti thi sniper, belt main tha grenade
room main hota tha andhera, dil main thi umang
hota tha flash bomb aane ka intezaar
c1 c1 karkay sab nikalte they ek saath
paanch hi secondon main ho jaata tha khatma
aati thi ek hi pukar har room sey baar baar
kya woh they lamhe, kya they woh din
chalo dubara mdi, even if its only ek baar?

No comments: